ek ajab KHauf umaD aata hai darwazon se
ik ajab ḳhauf umaD aatā hai darvāzoñ se
raat hotī hai to bhar jaatā huuñ āvāzoñ se
maiñ kahāñ us ke taḳhayyul pe huuñ khulne vaalā
kyoñ mujhe nāptā rahtā hai vo andāzoñ se
dard kī aañch kabhī taal meñ Dhal jaatī hai
raushnī phuuT nikaltī hai kabhī sāzoñ se
mire allāh kā ehsān bahut hai mujh par
mirī āvāz judā rahtī hai āvāzoñ se
ek ajab KHauf umaD aata hai darwazon se
raat hoti hai to bhar jata hun aawazon se
main kahan us ke taKHayyul pe hun khulne wala
kyon mujhe napta rahta hai wo andazon se
dard ki aanch kabhi tal mein Dhal jati hai
raushni phuT nikalti hai kabhi sazon se
mere allah ka ehsan bahut hai mujh par
meri aawaz juda rahti hai aawazon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.