ek ajab sa surur hota hai
ik 'ajab sā surūr hotā hai
'ishq kā jab zuhūr hotā hai
saaf dil ke jo log hote haiñ
un ke chehroñ pe nuur hotā hai
ye to fitrat hai husn vāloñ kī
dil dukhānā zarūr hotā hai
aise tairāk duub jaate haiñ
jin ko ḳhud par ġhurūr hotā hai
dil kī taskīñ kī baat mat kiije
dil bahut nā-subūr hotā hai
kaam yūñhī nahīñ bigaḌ jaate
niyyatoñ meñ futūr hotā hai
ek 'ajab sa surur hota hai
'ishq ka jab zuhur hota hai
saf dil ke jo log hote hain
un ke chehron pe nur hota hai
ye to fitrat hai husn walon ki
dil dukhana zarur hota hai
aise tairak dub jate hain
jin ko KHud par ghurur hota hai
dil ki taskin ki baat mat kije
dil bahut na-subur hota hai
kaam yunhi nahin bigaD jate
niyyaton mein futur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.