ek ajab si surat-e-haalat hai
ik ajab sī sūrat-e-hālāt hai
din bhī lagtā hai ki jaise raat hai
kaun ḳhushiyoñ ko churā kar le gayā
kaun ġham kī de gayā sauġhāt hai
khetiyoñ meñ bhuuk hai ugne lagī
is dafa kaisī huī barsāt hai
log haiñ sahme hue hālāt se
mil rahī bārūd kī sauġhāt hai
koī bhī 'sāġhar' nahīñ shādāñ yahāñ
iid kyā hai aur kyā shabrāt hai
ek ajab si surat-e-haalat hai
din bhi lagta hai ki jaise raat hai
kaun KHushiyon ko chura kar le gaya
kaun gham ki de gaya saughat hai
khetiyon mein bhuk hai ugne lagi
is dafa kaisi hui barsat hai
log hain sahme hue haalat se
mil rahi barud ki saughat hai
koi bhi 'saghar' nahin shadan yahan
id kya hai aur kya shabraat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.