ek ajnabi jo shanasa dikhai deta hai
ik ajnabī jo shanāsā dikhā.ī detā hai
na jaane kis liye tanhā dikhā.ī detā hai
tumhāre shauq-e-gurezāñ kā hai samar ye bhī
ki merī aañkh meñ dariyā dikhā.ī detā hai
mujhe batā mere ḳhāliq ki kis ḳhatā ke tufail
bujhā sā merā sitārā dikhā.ī detā hai
luTī luTī sī ye duniyā udaas udaas jahāñ
mire nasīb kī pattā dikhā.ī detā hai
hai ujlī sub.h kā saverā usī ke dāman meñ
vo jis kā pairāhan mailā dikhā.ī detā hai
ek ajnabi jo shanasa dikhai deta hai
na jaane kis liye tanha dikhai deta hai
tumhaare shauq-e-gurezan ka hai samar ye bhi
ki meri aankh mein dariya dikhai deta hai
mujhe bata mere KHaliq ki kis KHata ke tufail
bujha sa mera sitara dikhai deta hai
luTi luTi si ye duniya udas udas jahan
mere nasib ki patta dikhai deta hai
hai ujli subh ka sawera usi ke daman mein
wo jis ka pairahan maila dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.