ek ajnabi ko dil ne yagana bana liya
ik ajnabī ko dil ne yagāna banā liyā
bhūlī huī thī baat fasāna banā liyā
kyā intihā-e-shauq thī dīdār ke liye
har rahguzar ko apnā Thikāna banā liyā
qaul-o-qarār o rasm-e-vafā kuchh na kar sake
har baar us ne koī bahāna banā liyā
ai sham.a tere husn-e-tajalli kā hai kamāl
mushtāq-e-dīd ko bhī divāna banā liyā
yak-bārgī jo sāmnā un se kahīñ huā
thā husn-e-ittifāq bahāna banā liyā
dastūr is jahāñ kā nirālā hai dosto
dekhā ġharīb ko to nishāna banā liyā
'sādiq' bhī dāstān-e-vafā kyā bayāñ kareñ
karke baham ishāre fasāna banā liyā
ek ajnabi ko dil ne yagana bana liya
bhuli hui thi baat fasana bana liya
kya intiha-e-shauq thi didar ke liye
har rahguzar ko apna Thikana bana liya
qaul-o-qarar o rasm-e-wafa kuchh na kar sake
har bar us ne koi bahana bana liya
ai shama tere husn-e-tajalli ka hai kamal
mushtaq-e-did ko bhi diwana bana liya
yak-bargi jo samna un se kahin hua
tha husn-e-ittifaq bahana bana liya
dastur is jahan ka nirala hai dosto
dekha gharib ko to nishana bana liya
'sadiq' bhi dastan-e-wafa kya bayan karen
karke baham ishaare fasana bana liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.