ek andhi dauD thi ukta gaya tha
ik andhī dauḌ thī uktā gayā thā
maiñ ḳhud hī saf se bāhar aa gayā thā
na dil bāzār meñ us kā lagā phir
jise ghar kā patā yaad aa gayā thā
faqat ab ret kī chādar bichhī hai
sunā hai us taraf dariyā gayā thā
usī ne raah dikhlā.ī jahāñ ko
jo apnī raah par tanhā gayā thā
mujhe jalnā paḌā majbūr ho kar
añdherā is qadar gahrā gayā thā
koī tasvīr ashkoñ se banā kar
fasīl-e-shahr par chipkā gayā thā
samajh āḳhir meñ aayā vāhima thā
jo kuchh ab tak sunā samjhā gayā thā
ek andhi dauD thi ukta gaya tha
main KHud hi saf se bahar aa gaya tha
na dil bazar mein us ka laga phir
jise ghar ka pata yaad aa gaya tha
faqat ab ret ki chadar bichhi hai
suna hai us taraf dariya gaya tha
usi ne rah dikhlai jahan ko
jo apni rah par tanha gaya tha
mujhe jalna paDa majbur ho kar
andhera is qadar gahra gaya tha
koi taswir ashkon se bana kar
fasil-e-shahr par chipka gaya tha
samajh aaKHir mein aaya wahima tha
jo kuchh ab tak suna samjha gaya tha
- Book : Khwab Patthar Ho Gaye (Pg. 42)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Skylark House of Publications, 52 Shiv Vihar, Sector-1, Jankipuram, Lucknow-21 (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.