ek aur aasman ke nazare tarashte
ik aur āsmāñ ke nazāre tarāshte
ham tujh ko dekhte to sitāre tarāshte
āñkhoñ se thāmte ye sad-ā.īna kā.ināt
aur phir se nain-naqsh tumhāre tarāshte
khiltī tirī jabīn bashārat ke chāñd sī
aur lab supurdagī ke ishāre tarāshte
karte kisī ke lams kī hiddat se mashvare
barfāb shab ke zard kināre tarāshte
dasht-e-ḳhayāl-e-yār pe ik ḳhema-e-visāl
kyā aur tere hijr ke maare tarāshte
maiñ chup rahī ki baat mire dostoñ kī thī
vo jo bhī jhūT-sach mire baare tarāshte
ab TūTne lagā hai hare pāniyoñ kā zor
sāhil ko kāTte kabhī dhāre tarāshte
ek aur aasman ke nazare tarashte
hum tujh ko dekhte to sitare tarashte
aankhon se thamte ye sad-aina kainat
aur phir se nain-naqsh tumhaare tarashte
khilti teri jabin bashaarat ke chand si
aur lab supurdagi ke ishaare tarashte
karte kisi ke lams ki hiddat se mashware
barfab shab ke zard kinare tarashte
dasht-e-KHayal-e-yar pe ek KHema-e-visal
kya aur tere hijr ke mare tarashte
main chup rahi ki baat mere doston ki thi
wo jo bhi jhuT-sach mere bare tarashte
ab TuTne laga hai hare paniyon ka zor
sahil ko kaTte kabhi dhaare tarashte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.