ek baada-e-simabi barsa mah-o-aKHtar se
ik bāda-e-sīmābī barsā mah-o-aḳhtar se
nikle jo taḌap kar vo chāk-e-dil-e-muztar se
ik ishrat-e-lā-fānī ik dard-e-baqā-parvar
mīzān-e-do-ālam meñ ham tum haiñ barābar se
khultā hai ba-āsānī kab uqda-e-majbūrī
aise meñ to kaam ai dil le nāḳhun-e-ḳhanjar se
ik sa.ī-e-nazāra phir ai chashm-e-tamāshā.ī
shāyad na naqāb uTThe phir is ruḳh-e-anvar se
aao ġham-e-pursish kyā maiñ shikve se baaz aaya
tum chaar qadam pīchhe kyoñ ho saf-e-mehshar se
ik marg-e-dil-o-jāñ thī manzil kī tan-āsānī
rahzan se ziyāda hai shikva mujhe rahbar se
ai 'faiz' taqāzā-e-tahzīb-e-nazariya hai
dekh us but-e-kāfir ko chashm-e-mah-o-aḳhtar se
ek baada-e-simabi barsa mah-o-aKHtar se
nikle jo taDap kar wo chaak-e-dil-e-muztar se
ek ishrat-e-la-fani ek dard-e-baqa-parwar
mizan-e-do-alam mein hum tum hain barabar se
khulta hai ba-asani kab uqda-e-majburi
aise mein to kaam ai dil le naKHun-e-KHanjar se
ek sai-e-nazara phir ai chashm-e-tamashai
shayad na naqab uTThe phir is ruKH-e-anwar se
aao gham-e-pursish kya main shikwe se baz aaya
tum chaar qadam pichhe kyon ho saf-e-mehshar se
ek marg-e-dil-o-jaan thi manzil ki tan-asani
rahzan se ziyaada hai shikwa mujhe rahbar se
ai 'faiz' taqaza-e-tahzib-e-nazariya hai
dekh us but-e-kafir ko chashm-e-mah-o-aKHtar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.