ek bar jo bichhDe wo dobara nahin milta
ik baar jo bichhḌe vo dobāra nahīñ miltā
mil jaa.e koī shaḳhs to saarā nahīñ miltā
us kī bhī nikal aatī hai iz.hār kī sūrat
jis shaḳhs ko lafzoñ kā sahārā nahīñ miltā
phir Dūbnā ye baat bahut soch lo pahle
har laash ko dariyā kā kinārā nahīñ miltā
ye soch ke dil phir se hai āmāda-e-ulfat
har baar mohabbat meñ ḳhasāra nahīñ miltā
kyuuñ log bulā.eñge hameñ bazm-e-suḳhan meñ
apnā to kisī se bhī sitāra nahīñ miltā
vo shahr bhalā kaise lage apnā jahāñ par
ik shaḳhs bhī DhūñDe se hamārā nahīñ miltā
ek bar jo bichhDe wo dobara nahin milta
mil jae koi shaKHs to sara nahin milta
us ki bhi nikal aati hai izhaar ki surat
jis shaKHs ko lafzon ka sahaara nahin milta
phir Dubna ye baat bahut soch lo pahle
har lash ko dariya ka kinara nahin milta
ye soch ke dil phir se hai aamada-e-ulfat
har bar mohabbat mein KHasara nahin milta
kyun log bulaenge hamein bazm-e-suKHan mein
apna to kisi se bhi sitara nahin milta
wo shahr bhala kaise lage apna jahan par
ek shaKHs bhi DhunDe se hamara nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.