ek bar samna hua aur aankh laD gai
ik baar sāmnā huā aur aañkh laḌ ga.ī
itnī sī baat thī magar afsos baḌh ga.ī
sharmā.e vo lajā.e kabhī muskurā diye
bel apne pyaar kī yūñhī parvān chaḌh ga.ī
phir nāma-o-payām kā ik silsila chhiḌā
āñgan meñ ham khaḌe the vo koThe pe chaḌh ga.ī
hone lage ishāre jo har roz sub.h-o-shām
ye dekh ke hamārī paḌosan bigaḌ ga.ī
bas bante bante rah gayā 'mahfūz' apnā kaam
raazī jo us kā baap huā maañ akaḌ ga.ī
ek bar samna hua aur aankh laD gai
itni si baat thi magar afsos baDh gai
sharmae wo lajae kabhi muskura diye
bel apne pyar ki yunhi parwan chaDh gai
phir nama-o-payam ka ek silsila chhiDa
aangan mein hum khaDe the wo koThe pe chaDh gai
hone lage ishaare jo har roz subh-o-sham
ye dekh ke hamari paDosan bigaD gai
bas bante bante rah gaya 'mahfuz' apna kaam
raazi jo us ka bap hua man akaD gai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 628)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.