ek baat bahut KHas thi chehron ke safar mein
ik baat bahut ḳhaas thī chehroñ ke safar meñ
TuuTe hue ā.īne mile rāhguzar meñ
rahtā huuñ ujāloñ ke añdheroñ ke safar meñ
ye kis ne mujhe baañT diyā shām-o-sahar meñ
dīvāngī-e-shauq kī 'azmat hai nazar meñ
sahrāoñ kī tasvīr lagā rakkhī hai ghar meñ
jab tak ki na aa jā.ūñ maiñ sāhil kī nazar meñ
rahne de mujhe gardish-e-taqdīr bhañvar meñ
aa jaa.e agar baal to miT jaate haiñ jauhar
maiñ rakhtā nahīñ TuuTā huā aa.ina ghar meñ
baḌh jā.egī ai ham-safaro dūrī-e-manzil
guzrī huī bātoñ ko na duhrāo safar meñ
ho pyaar to āsānī se aa saktā hai 'saulat'
jannat kā maza chhoTe se TuuTe hue ghar meñ
ek baat bahut KHas thi chehron ke safar mein
TuTe hue aaine mile rahguzar mein
rahta hun ujalon ke andheron ke safar mein
ye kis ne mujhe banT diya sham-o-sahar mein
diwangi-e-shauq ki 'azmat hai nazar mein
sahraon ki taswir laga rakkhi hai ghar mein
jab tak ki na aa jaun main sahil ki nazar mein
rahne de mujhe gardish-e-taqdir bhanwar mein
aa jae agar baal to miT jate hain jauhar
main rakhta nahin TuTa hua aaina ghar mein
baDh jaegi ai ham-safaro duri-e-manzil
guzri hui baaton ko na duhrao safar mein
ho pyar to aasani se aa sakta hai 'saulat'
jannat ka maza chhoTe se TuTe hue ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.