ek baat yahi shukr manane ke liye hai
ik baat yahī shukr manāne ke liye hai
ab paas nahīñ kuchh bhī gañvāne ke liye hai
us ko ye suhūlat hai ki jab chāhe vo rūThe
vo jāntā hai koī manāne ke liye hai
ye bād-e-sabā ḳhushbū parindoñ kī sadā.eñ
har shai use khiḌkī pe bulāne ke liye hai
kuchh peḌ hare rahte haiñ patjhaḌ ho ki sāvan
chehre pe tabassum ye batāne ke liye hai
har sher meñ aa jaatā hai kyoñ zikr usī kā
ye shauq-e-suḳhan jis ko bhulāne ke liye hai
ek baat yahi shukr manane ke liye hai
ab pas nahin kuchh bhi ganwane ke liye hai
us ko ye suhulat hai ki jab chahe wo ruThe
wo jaanta hai koi manane ke liye hai
ye baad-e-saba KHushbu parindon ki sadaen
har shai use khiDki pe bulane ke liye hai
kuchh peD hare rahte hain patjhaD ho ki sawan
chehre pe tabassum ye batane ke liye hai
har sher mein aa jata hai kyon zikr usi ka
ye shauq-e-suKHan jis ko bhulane ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.