ek barahna bolta izhaar hai
ik barahna boltā iz.hār hai
merā chehra sub.h kā aḳhbār hai
aage pīchhe chal rahā hai dam-ba-dam
ek merā saaya merā yaar hai
paañv ke nīche hai sho.aloñ kī zamīñ
aur sar pe soch kī talvār hai
be-libāsī pairāhan pe ḳhanda-zan
be-hayā.ī ek kārobār hai
kis taraf ko jaa.e 'rāhī' aadmī
har qadam sarhad hai yā dīvār hai
ek barahna bolta izhaar hai
mera chehra subh ka aKHbar hai
aage pichhe chal raha hai dam-ba-dam
ek mera saya mera yar hai
panw ke niche hai shoalon ki zamin
aur sar pe soch ki talwar hai
be-libasi pairahan pe KHanda-zan
be-hayai ek karobar hai
kis taraf ko jae 'rahi' aadmi
har qadam sarhad hai ya diwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.