ek barf ka dariya andar tha
ik barf kā dariyā andar thā
dahkā huā sūraj sar par thā
nafrat ke sho.ale dahakte the
ik ḳhauf kā aalam ghar ghar thā
har dil meñ the ḳhadshāt ka.ī
har lamha dahshat-manzar thā
zāhir meñ lagtā thā mom kā vo
chhū kar dekhā to patthar thā
naġhme likhtā thā ashkoñ se
aisā bhī ek suḳhnavar thā
jo haar ko jiit banā detā
kyā koī aisā sikandar thā
hañstā rahtā thā vo ġham meñ
ġham kā vo shāyad ḳhūgar thā
ek barf ka dariya andar tha
dahka hua suraj sar par tha
nafrat ke shoale dahakte the
ek KHauf ka aalam ghar ghar tha
har dil mein the KHadshat kai
har lamha dahshat-manzar tha
zahir mein lagta tha mom ka wo
chhu kar dekha to patthar tha
naghme likhta tha ashkon se
aisa bhi ek suKHnawar tha
jo haar ko jit bana deta
kya koi aisa sikandar tha
hansta rahta tha wo gham mein
gham ka wo shayad KHugar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.