ek be-hunar hun aur hunar chahti hun main
ik be-hunar huuñ aur hunar chāhtī huuñ maiñ
ab dhuup ke safar meñ shajar chāhtī huuñ maiñ
tanhā.iyoñ kā ḳhauf hai ghere hue mujhe
apnī galī se us kā guzar chāhtī huuñ maiñ
likkhā hai apne naam se apne pate pe ḳhat
muddat ke ba.ad apnī ḳhabar chāhtī huuñ maiñ
ye Thiik hai ki tum se mohabbat nahīñ mujhe
ye bhī hai Thiik tum ko magar chāhtī huuñ maiñ
hai kyā ajab ki tark-e-ta.alluq ke bāvajūd
chehre pe apne us kī nazar chāhtī huuñ maiñ
ek be-hunar hun aur hunar chahti hun main
ab dhup ke safar mein shajar chahti hun main
tanhaiyon ka KHauf hai ghere hue mujhe
apni gali se us ka guzar chahti hun main
likkha hai apne nam se apne pate pe KHat
muddat ke baad apni KHabar chahti hun main
ye Thik hai ki tum se mohabbat nahin mujhe
ye bhi hai Thik tum ko magar chahti hun main
hai kya ajab ki tark-e-talluq ke bawajud
chehre pe apne us ki nazar chahti hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.