ek be-wafa se pyar kiya hae kya kiya
ik be-vafā se pyaar kiyā haa.e kyā kiyā
dushman pe e.atibār kiyā haa.e kyā kiyā
dil ne ba-fart-e-josh-e-junūñ un ke sāmne
har raaz āshkār kiyā haa.e kyā kiyā
ārā.ishoñ se kaam rahā jin ko umr bhar
aisoñ kā intizār kiyā haa.e kyā kiyā
iz.hār-e-dard hijr na thā ham ko kuchh zarūr
us but ko sharmsār kiyā haa.e kyā kiyā
mere junūn-e-shauq ke charche haiñ har kahīñ
dāman bhī taar taar kiyā haa.e kyā kiyā
ab dil hai rasm-o-rāh-e-mohabbat se munharif
fikr-e-ma.āl-e-kār kiyā haa.e kyā kiyā
tāsīr-e-iztirāb se āḳhir vo kah uThe
'premī' ko be-qarār kiyā haa.e kyā kiyā
ek be-wafa se pyar kiya hae kya kiya
dushman pe eatibar kiya hae kya kiya
dil ne ba-fart-e-josh-e-junun un ke samne
har raaz aashkar kiya hae kya kiya
aaraishon se kaam raha jin ko umr bhar
aison ka intizar kiya hae kya kiya
izhaar-e-dard hijr na tha hum ko kuchh zarur
us but ko sharmsar kiya hae kya kiya
mere junun-e-shauq ke charche hain har kahin
daman bhi tar tar kiya hae kya kiya
ab dil hai rasm-o-rah-e-mohabbat se munharif
fikr-e-maal-e-kar kiya hae kya kiya
tasir-e-iztirab se aaKHir wo kah uThe
'premi' ko be-qarar kiya hae kya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.