ek bewafa ki yaad se laDte hue mare
ik bevafā kī yaad se laḌte hue mare
ham aise bad-nasīb sañbhalte hue mare
niklī hai jaise jaan hamārī ḳhudā kare
aise na koī aur taḌapte hue mare
parvardigār ham ko mohabbat nahīñ milī
ham log us ġhizā ko taraste hue mare
ham ko hamārī maut kā dukh is liye bhī hai
ham log ehtiyāt se chalte hue mare
terī hī zid thī dostā tere liye koī
tā-umr terā rāsta takte hue mare
ham saañs saañs dard kī āġhosh meñ rahe
ham saañs saañs dard se marte hue mare
is vāste hī qīmateñ rakkhī haiñ barqarār
ham jānte the ham jahāñ saste hue mare
ek bewafa ki yaad se laDte hue mare
hum aise bad-nasib sanbhalte hue mare
nikli hai jaise jaan hamari KHuda kare
aise na koi aur taDapte hue mare
parwardigar hum ko mohabbat nahin mili
hum log us ghiza ko taraste hue mare
hum ko hamari maut ka dukh is liye bhi hai
hum log ehtiyat se chalte hue mare
teri hi zid thi dosta tere liye koi
ta-umr tera rasta takte hue mare
hum sans sans dard ki aaghosh mein rahe
hum sans sans dard se marte hue mare
is waste hi qimaten rakkhi hain barqarar
hum jaante the hum jahan saste hue mare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.