Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek bewafa ko dard ka darman bana liya

Behzad Lakhnavi

ek bewafa ko dard ka darman bana liya

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ik bevafā ko dard darmāñ banā liyā

    ham ne to aah kufr ko īmāñ banā liyā

    dil ḳhalish-pasañdiyāñ haiñ ki allāh panāh

    tīr-e-nazar ko jān-e-rag-e-jāñ banā liyā

    mujh ko ḳhabar nahīñ mire dil ko ḳhabar nahīñ

    kis nazar ne banda-e-ehsāñ banā liyā

    mahsūs kar ke ham ne mohabbat har alam

    ḳhvāb-e-subuk ko ḳhvāb-e-pareshāñ banā liyā

    dast-e-junūñ uqda-kushā.ī to dekhiye

    dāman ko be-niyāz garebāñ banā liyā

    taskīn-e-dil ham ne bhī parvāh chhoḌ

    har mauj-e-ġham ko hāsil-e-tūfāñ banā liyā

    jab un naam aa gayā ham muztarib hue

    aahoñ ko apnī ziist unvāñ banā liyā

    ham ne to apne dil meñ vo ġham ho ki ho alam

    jo koī aa gayā use mehmāñ banā liyā

    ā.īna dekhne zarūrat na thī koī

    apne ko ḳhud aap ne hairāñ banā liyā

    ik be-vafā pe kar ke tasadduq dil-o-jigar

    'bahzād' ham ne ḳhud ko pareshāñ banā liyā

    ek bewafa ko dard ka darman bana liya

    hum ne to aah kufr ko iman bana liya

    dil ki KHalish-pasandiyan hain ki allah ki panah

    tir-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaan bana liya

    mujh ko KHabar nahin mere dil ko KHabar nahin

    kis ki nazar ne banda-e-ehsan bana liya

    mahsus kar ke hum ne mohabbat ka har alam

    KHwab-e-subuk ko KHwab-e-pareshan bana liya

    dast-e-junun ki uqda-kushai to dekhiye

    daman ko be-niyaz gareban bana liya

    taskin-e-dil ki hum ne bhi parwah chhoD di

    har mauj-e-gham ko hasil-e-tufan bana liya

    jab un ka nam aa gaya hum muztarib hue

    aahon ko apni zist ka unwan bana liya

    hum ne to apne dil mein wo gham ho ki ho alam

    jo koi aa gaya use mehman bana liya

    aaina dekhne ki zarurat na thi koi

    apne ko KHud hi aap ne hairan bana liya

    ek be-wafa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar

    'bahzad' hum ne KHud ko pareshan bana liya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now