ek bewafa ko KHugar-e-jaur-o-jafa kiya
ik bevafā ko ḳhūgar-e-jaur-o-jafā kiyā
iz.hār-e-shauq us se kiyā haa.e kyā kiyā
rāh-e-vafā kī saḳhtiyāñ ai ham-nashīñ na pūchh
marmar ke maiñ ne haqq-e-mohabbat adā kiyā
kab tak maiñ sahtā aap kī ye kam-nigāhiyāñ
kī maiñ ne tark-e-ārzū to kyā burā kiyā
pahle sikhā.e nazroñ ko ādāb-e-bandagī
phir un ke pā-e-nāz pe sajda adā kiyā
merī hañsī zamāna uḌātā na thī majāl
vahshat meñ apne haal pe maiñ ḳhud hañsā kiyā
kyā kyā diye haiñ ta.ane ġham-e-dil ne is ghaḌī
bhūle se us ne jab koī va.ada vafā kiyā
'sāhir' bas is qadar hai tabāhī kā mājrā
vo be-ḳhabar bane rahe aur maiñ miTā kiyā
ek bewafa ko KHugar-e-jaur-o-jafa kiya
izhaar-e-shauq us se kiya hae kya kiya
rah-e-wafa ki saKHtiyan ai ham-nashin na puchh
marmar ke main ne haqq-e-mohabbat ada kiya
kab tak main sahta aap ki ye kam-nigahiyan
ki main ne tark-e-arzu to kya bura kiya
pahle sikhae nazron ko aadab-e-bandagi
phir un ke pa-e-naz pe sajda ada kiya
meri hansi zamana uData na thi majal
wahshat mein apne haal pe main KHud hansa kiya
kya kya diye hain tane gham-e-dil ne is ghaDi
bhule se us ne jab koi wada wafa kiya
'sahir' bas is qadar hai tabahi ka majra
wo be-KHabar bane rahe aur main miTa kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.