ek bhayanak tirgi hai raushni ai raushni
ik bhayānak tīrgī hai raushnī ai raushnī
sham-e-jāñ bujhne lagī hai raushnī ai raushnī
kyā koī bhaTkā huā jugnū idhar bhī aa.egā
raat gahrī ho chalī hai raushnī ai raushnī
āsmānoñ par sitāre haiñ na sīnoñ meñ sharār
ye qayāmat kī ghaḌī hai raushnī ai raushnī
ḳhatm kab hogā ye ehsās-e-ziyāñ kā rat-jagā
ek ik lamha sadī hai raushnī ai raushnī
ham añdheroñ ke havārī ban ke zinda haiñ magar
zindagī sharmindagī hai raushnī ai raushnī
apnī qismat meñ hai nok-e-ḳhār yā shāḳh-e-bahār
phuul haiñ yā phuljhaḌī hai raushnī ai raushnī
ek bhayanak tirgi hai raushni ai raushni
sham-e-jaan bujhne lagi hai raushni ai raushni
kya koi bhaTka hua jugnu idhar bhi aaega
raat gahri ho chali hai raushni ai raushni
aasmanon par sitare hain na sinon mein sharar
ye qayamat ki ghaDi hai raushni ai raushni
KHatm kab hoga ye ehsas-e-ziyan ka rat-jaga
ek ek lamha sadi hai raushni ai raushni
hum andheron ke hawari ban ke zinda hain magar
zindagi sharmindagi hai raushni ai raushni
apni qismat mein hai nok-e-KHar ya shaKH-e-bahaar
phul hain ya phuljhaDi hai raushni ai raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.