ek but hai jise meri nazar DhunDh rahi hai
ik but hai jise merī nazar DhūñDh rahī hai
mushkil hai mulāqāt magar DhūñDh rahī hai
lākhoñ meñ kisī ek ke kāñdhoñ pe milegā
vo sar ki jise azmat-e-sar DhūñDh rahī hai
manzil ne mere paañv ko chūmā hai ka.ī baar
maiñ vo huuñ jise gard-e-safar DhūñDh rahī hai
ik baar karo jañg meñ us maañ kā tasavvur
jo faut huā laḳht-e-jigar DhūñDh rahī hai
parvāz ko baaqī haiñ abhī aur bhī ambar
hasrat merī ab zarf ke par DhūñDh rahī hai
ik roz udāsī ne mirā naam sunā thā
us din se mujhe shām-o-sahar DhūñDh rahī hai
ḳhvāhish hai baḌī der se 'kāfir' kī jabīñ ko
sajde ke liye yaar kā dar DhūñD rahī hai
ek but hai jise meri nazar DhunDh rahi hai
mushkil hai mulaqat magar DhunDh rahi hai
lakhon mein kisi ek ke kandhon pe milega
wo sar ki jise azmat-e-sar DhunDh rahi hai
manzil ne mere panw ko chuma hai kai bar
main wo hun jise gard-e-safar DhunDh rahi hai
ek bar karo jang mein us man ka tasawwur
jo faut hua laKHt-e-jigar DhunDh rahi hai
parwaz ko baqi hain abhi aur bhi ambar
hasrat meri ab zarf ke par DhunDh rahi hai
ek roz udasi ne mera nam suna tha
us din se mujhe sham-o-sahar DhunDh rahi hai
KHwahish hai baDi der se 'kafir' ki jabin ko
sajde ke liye yar ka dar DhunD rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.