ek chah ki nigah ka afsana ban gaya
ik chaah kī nigāh kā afsāna ban gayā
vo uñgliyāñ uThīñ ki maiñ dīvāna ban gayā
apne hī dil kī baat hai apne kiye kī laaj
kā'ba banā rahā thā maiñ but-ḳhāna ban gayā
allah-re bazm-e-nāz tirī nā-shanāsiyāñ
jis ko kiyā salām vo begāna ban gayā
chupke se un kā naam liyā dil se baat kī
ye kaun sun rahā thā ki afsāna ban gayā
ḳhallāq-e-husn-o-ishq baḌā dil-navāz hai
taḳhlīq-e-sham.a hote hī parvāna ban gayā
duniyā ke taḳht-o-tāj 'razā' Thokaroñ pe haiñ
kyā chiiz apnā ThāTh faqīrāna ban gayā
ek chah ki nigah ka afsana ban gaya
wo ungliyan uThin ki main diwana ban gaya
apne hi dil ki baat hai apne kiye ki laj
ka'ba bana raha tha main but-KHana ban gaya
allah-re bazm-e-naz teri na-shanasiyan
jis ko kiya salam wo begana ban gaya
chupke se un ka nam liya dil se baat ki
ye kaun sun raha tha ki afsana ban gaya
KHallaq-e-husn-o-ishq baDa dil-nawaz hai
taKHliq-e-shama hote hi parwana ban gaya
duniya ke taKHt-o-taj 'raza' Thokaron pe hain
kya chiz apna ThaTh faqirana ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.