ek chehre par rose guzara hota hai
ik chehre par roz guzāra hotā hai
pyaar kisī ko kab dobāra hotā hai
maiñ tum par har baar bharosa kartā huuñ
itnā sachchā jhūTh tumhārā hotā hai
tum mere is dil ko pāgal mat kahnā
apnā bachcha sab ko pyārā hotā hai
tum jaao par yādoñ ko to rahne do
yādoñ kā bhī ek sahārā hotā hai
us panchhī kā haal 'sachin' kis ne samjhā
jo pinjre meñ qaid dobāra hotā hai
ek chehre par roz guzara hota hai
pyar kisi ko kab dobara hota hai
main tum par har bar bharosa karta hun
itna sachcha jhuTh tumhaara hota hai
tum mere is dil ko pagal mat kahna
apna bachcha sab ko pyara hota hai
tum jao par yaadon ko to rahne do
yaadon ka bhi ek sahaara hota hai
us panchhi ka haal 'sachin' kis ne samjha
jo pinjre mein qaid dobara hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.