ek chheD thi jafaon ka teri gila na tha
ik chheḌ thī jafāoñ kā terī gila na thā
tark-e-ta’alluqāt mirā mudda’ā na thā
TuuTā hai apne zo’m-e-vafā kā tilism aaj
mahsūs ho rahā hai ki tū bevafā na thā
zāhid vo shoḳh dushman-e-īmāñ thā vāqa.ī
aur phir mirā mizāj bhī kuchh ‘āshiqāna thā
tark-e-rah-e-vafā pe haiñ ham ḳhud bhī munfa’il
par kyā kareñ ki aur koī rāsta na thā
jab se judā hue haiñ tabī'at udaas hai
aur lutf ye ki tum se koī mudda’ā na thā
ek chheD thi jafaon ka teri gila na tha
tark-e-ta’alluqat mera mudda’a na tha
TuTa hai apne zo’m-e-wafa ka tilism aaj
mahsus ho raha hai ki tu bewafa na tha
zahid wo shoKH dushman-e-iman tha waqai
aur phir mera mizaj bhi kuchh ‘ashiqana tha
tark-e-rah-e-wafa pe hain hum KHud bhi munfa’il
par kya karen ki aur koi rasta na tha
jab se juda hue hain tabi'at udas hai
aur lutf ye ki tum se koi mudda’a na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.