Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek dafa to kah na pae umr bhar kaise kahen

Ashvini Kumar Tripathi

ek dafa to kah na pae umr bhar kaise kahen

Ashvini Kumar Tripathi

MORE BYAshvini Kumar Tripathi

    ik dafa to kah na paa.e 'umr bhar kaise kaheñ

    hai añdherī raat is ko dopahar kaise kaheñ

    baT gayā āñgan baTe haiñ log rishte baT ga.e

    phir bhalā is chār-dīvārī ko ghar kaise kaheñ

    ab to ham kāñToñ-bharī rāhoñ ke 'aadī ho ga.e

    aaj phūloñ Dagar ko rah-guzar kaise kaheñ

    mānte haiñ ham hunar dā.era baḌhne lagā

    par daġhā-bāzī jafā ko bhī hunar kaise kaheñ

    ek dafa to kah na pae 'umr bhar kaise kahen

    hai andheri raat is ko dopahar kaise kahen

    baT gaya aangan baTe hain log rishte baT gae

    phir bhala is chaar-diwari ko ghar kaise kahen

    ab to hum kanTon-bhari rahon ke 'adi ho gae

    aaj phulon ki Dagar ko rah-guzar kaise kahen

    mante hain hum hunar ka daera baDhne laga

    par dagha-bazi jafa ko bhi hunar kaise kahen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now