ek dafine mein ajab rang ka patthar nikla
ik dafīne meñ ajab rang kā patthar niklā
ġhaur se kī jo nazar us pe to gauhar niklā
jis ne ik markaz-e-ta.alīm diyā hai logo
bas haqīqat meñ vo ik qaum kā rahbar niklā
jo khañDar khodā gayā dekh ke hairat ye huī
shāmil us meñ bhī mire naam kā patthar niklā
sang-dil hai jo zamāne kī nigāhoñ meñ bahut
haañ vahī mere liye merā muqaddar niklā
shahr meñ aayā palaT kar maiñ safar se jis dam
jis ko pahchān na paayā vo mirā ghar niklā
koī tartīb na thī ghar meñ kitāboñ meñ mirī
merā kamra bhī to aḳhbār kā daftar niklā
sab ko taufīq-e-adab hotī hai 'iqbāl' kahāñ
jis ko hāsil huī qismat kā sikandar niklā
ek dafine mein ajab rang ka patthar nikla
ghaur se ki jo nazar us pe to gauhar nikla
jis ne ek markaz-e-talim diya hai logo
bas haqiqat mein wo ek qaum ka rahbar nikla
jo khanDar khoda gaya dekh ke hairat ye hui
shamil us mein bhi mere nam ka patthar nikla
sang-dil hai jo zamane ki nigahon mein bahut
han wahi mere liye mera muqaddar nikla
shahr mein aaya palaT kar main safar se jis dam
jis ko pahchan na paya wo mera ghar nikla
koi tartib na thi ghar mein kitabon mein meri
mera kamra bhi to aKHbar ka daftar nikla
sab ko taufiq-e-adab hoti hai 'iqbaal' kahan
jis ko hasil hui qismat ka sikandar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.