ek dar pe sar jhuka liya rahen badal gain
ik dar pe sar jhukā liyā rāheñ badal ga.iiñ
jitnī balā.eñ sar pe thiiñ saarī hī Tal ga.iiñ
ik haath ham ne chuum ke āñkhoñ pe kyā rakhā
mausam kī saarī shiddateñ narmī meñ Dhal ga.iiñ
shak kī lagī jo aag to uThne lagā dhuāñ
sab rassiyāñ yaqīn kī lamhoñ meñ jal ga.iiñ
mehnat kī būñd-būñd se kartā rahā thā tar
yuuñ beTiyāñ ġharīb kī sūkhī pe pal ga.iiñ
ab ke milo to haath kī duurī pe hī raho
socheñ hamārī diid se aage nikal ga.iiñ
ek dar pe sar jhuka liya rahen badal gain
jitni balaen sar pe thin sari hi Tal gain
ek hath hum ne chum ke aankhon pe kya rakha
mausam ki sari shiddaten narmi mein Dhal gain
shak ki lagi jo aag to uThne laga dhuan
sab rassiyan yaqin ki lamhon mein jal gain
mehnat ki bund-bund se karta raha tha tar
yun beTiyan gharib ki sukhi pe pal gain
ab ke milo to hath ki duri pe hi raho
sochen hamari did se aage nikal gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.