ek dard ka anmol-ratan sath hai mere
ik dard kā anmol-ratan saath hai mere
ḳhush huuñ ki koī jiine kā fan saath hai mere
sadiyoñ se hai āvārgī-e-shauq safar meñ
mīloñ kī masāfat kī thakan saath hai mere
uḌtī nahīñ kyoñ jaane pasīne kī ye shabnam
sūraj kī to ek ek kiran saath hai mere
har shīshe meñ chehra nazar aatā nahīñ yaaro
ye sach hai ki ik ā.ina-tan saath hai mere
bantī huī sūrat bhī bigaḌ jaa.e hai 'anjum'
lahje kā vo be-sāḳhta-pan saath hai mere
ek dard ka anmol-ratan sath hai mere
KHush hun ki koi jine ka fan sath hai mere
sadiyon se hai aawargi-e-shauq safar mein
milon ki masafat ki thakan sath hai mere
uDti nahin kyon jaane pasine ki ye shabnam
suraj ki to ek ek kiran sath hai mere
har shishe mein chehra nazar aata nahin yaro
ye sach hai ki ek aaina-tan sath hai mere
banti hui surat bhi bigaD jae hai 'anjum'
lahje ka wo be-saKHta-pan sath hai mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.