ek dard ka sahra hai simaTta hi nahin hai
ik dard kā sahrā hai simaTtā hī nahīñ hai
ik ġham kā samundar hai jo ghaTtā hī nahīñ hai
kyā terā badan jaan gayā terī anā ko
pahle kī tarah mujh se lipaTtā hī nahīñ hai
schōlī kitābo zarā fursat use de do
bachcha mirā titlī pe jhapaTtā hī nahīñ hai
kyā kyā nahīñ kartā hai zamāna use bad-dil
dil hai ki tirī or se haTtā hī nahīñ hai
sab ḳhālī gilāsoñ ko 'ziyā' thāme hue haiñ
saaqī hai ki paimāna ulaTtā hī nahīñ hai
ek dard ka sahra hai simaTta hi nahin hai
ek gham ka samundar hai jo ghaTta hi nahin hai
kya tera badan jaan gaya teri ana ko
pahle ki tarah mujh se lipaTta hi nahin hai
schooli kitabo zara fursat use de do
bachcha mera titli pe jhapaTta hi nahin hai
kya kya nahin karta hai zamana use bad-dil
dil hai ki teri or se haTta hi nahin hai
sab KHali gilason ko 'ziya' thame hue hain
saqi hai ki paimana ulaTta hi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.