ek dard ki lazzat hi sahi KHwahish-e-gham mein
ik dard kī lazzat hī sahī ḳhvāhish-e-ġham meñ
āñkheñ hī na bah jaa.eñ kahīñ bārish-e-ġham meñ
is ghar kī sajāvaT to anokhī hai sadā se
dil roz ujaḌtā rahā ārā.ish-e-ġham meñ
itnā bhī sukūñ pahle to hāsil hī nahīñ thā
jitnā hai mayassar abhī āsā.ish-e-ġham meñ
ab dūsrī duniyā hī sañvar jā.egī shāyad
jannat kī tamannā hai bahut kāvish-e-ġham meñ
haañ ḳhalq banā.egī yahāñ roz fasāne
tum saath zamāne ke raho pursish-e-ġham meñ
ek dard ki lazzat hi sahi KHwahish-e-gham mein
aankhen hi na bah jaen kahin barish-e-gham mein
is ghar ki sajawaT to anokhi hai sada se
dil roz ujaDta raha aaraish-e-gham mein
itna bhi sukun pahle to hasil hi nahin tha
jitna hai mayassar abhi aasaish-e-gham mein
ab dusri duniya hi sanwar jaegi shayad
jannat ki tamanna hai bahut kawish-e-gham mein
han KHalq banaegi yahan roz fasane
tum sath zamane ke raho pursish-e-gham mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.