ek din KHud ko apne andar phenkunga
ik din ḳhud ko apne andar pheñkūñgā
maiñ shīsha huuñ lekin patthar pheñkūñgā
tū pheñkegī jhiil meñ phuul kalā.iyoñ ke
aur maiñ apnī zaat ke kankar pheñkūñgā
terī ḳhushbū basī huī har silvaT meñ
khaa.ī meñ le jā kar maiñ bistar pheñkūñgā
ḳhvāb meñ tere phuul badan ko nochūñgā
apnī chīḳheñ tere andar pheñkūñgā
maiñ chhīnūñgā sahrā qais-qabīle se
ret ko phir bādal ke muñh par pheñkūñgā
make-up kapḌe album aur kitābeñ bhī
bāñdh ke yādeñ paar samundar pheñkūñgā
ek din KHud ko apne andar phenkunga
main shisha hun lekin patthar phenkunga
tu phenkegi jhil mein phul kalaiyon ke
aur main apni zat ke kankar phenkunga
teri KHushbu basi hui har silwaT mein
khai mein le ja kar main bistar phenkunga
KHwab mein tere phul badan ko nochunga
apni chiKHen tere andar phenkunga
main chhinunga sahra qais-qabile se
ret ko phir baadal ke munh par phenkunga
make-up kapDe album aur kitaben bhi
bandh ke yaaden par samundar phenkunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.