ek din tamam farz ada kar diye gae
ik din tamām farz adā kar diye ga.e
saare asīr-e-zāt rihā kar diye ga.e
vo hī to ġham-gusār hamāre the shahr meñ
sunte haiñ ab ke vo bhī ḳhudā kar diye ga.e
do dil kisī bhī tarah na jab ho sake alag
do naam hī varaq pe judā kar diye ga.e
vo furqatoñ ke din the vo vaqt-e-urūj thā
kitne hī zaḳhm dil ko kamā kar diye ga.e
shām-e-siyah bas apnā sā muñh le ke rah ga.ī
saare charāġh nazr-e-havā kar diye ga.e
kuchh ġham-nasīb ishq the kuchh ġham-nasīb ziist
kuchh ġham mizāj-e-dil pe atā kar diye ga.e
darkār ho gayā thā kahānī meñ kuchh nayā
ham log is liye bhī judā kar diye ga.e
ik chehra-e-hasīn miTāne kī zid thī aur
āñkhoñ ke saare rañg fanā kar diye ga.e
kuchh roz ba.ad ho ga.e jab ḳhugar-e-qafas
chupke se sab parinde rihā kar diye ga.e
ek din tamam farz ada kar diye gae
sare asir-e-zat riha kar diye gae
wo hi to gham-gusar hamare the shahr mein
sunte hain ab ke wo bhi KHuda kar diye gae
do dil kisi bhi tarah na jab ho sake alag
do nam hi waraq pe juda kar diye gae
wo furqaton ke din the wo waqt-e-uruj tha
kitne hi zaKHm dil ko kama kar diye gae
sham-e-siyah bas apna sa munh le ke rah gai
sare charagh nazr-e-hawa kar diye gae
kuchh gham-nasib ishq the kuchh gham-nasib zist
kuchh gham mizaj-e-dil pe ata kar diye gae
darkar ho gaya tha kahani mein kuchh naya
hum log is liye bhi juda kar diye gae
ek chehra-e-hasin miTane ki zid thi aur
aankhon ke sare rang fana kar diye gae
kuchh roz baad ho gae jab KHugar-e-qafas
chupke se sab parinde riha kar diye gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.