ek diya jal raha hai hawa tez hai
ik diyā jal rahā hai havā tez hai
dil magar kāñptā hai havā tez hai
'ārizoñ ke par pankh kyā ho ga.e
shauq mahv-e-duā hai havā tez hai
ek jhoñke meñ ḳhushbū kahāñ uḌ ga.ī
kaun sā gul khilā hai havā tez hai
dasht-dar-dasht uḌtī huī ḳhaak meñ
zindagī lāpata hai havā tez hai
kah rahī haiñ samundar kī ḳhāmoshiyāñ
mere siine meñ kyā hai havā tez hai
mast hāthī se bādal kahāñ kho ga.e
chiyuñTiyoñ sī ghaTā hai havā tez hai
kaun rotā hai vaqt-e-sahar dil dukhā
ik sisaktī sadā hai havā tez hai
kyā vo aayā ki zanjīr hilne lagī
yā mirā vāhima hai havā tez hai
is bulandī se guzre to aisā lagā
kyā khulī sī fazā hai havā tez hai
ham kahāñ jā rahe haiñ zamīñ chhoḌ kar
ye safar kaun sā hai havā tez hai
ek diya jal raha hai hawa tez hai
dil magar kanpta hai hawa tez hai
'arizon ke par pankh kya ho gae
shauq mahw-e-dua hai hawa tez hai
ek jhonke mein KHushbu kahan uD gai
kaun sa gul khila hai hawa tez hai
dasht-dar-dasht uDti hui KHak mein
zindagi lapata hai hawa tez hai
kah rahi hain samundar ki KHamoshiyan
mere sine mein kya hai hawa tez hai
mast hathi se baadal kahan kho gae
chiyunTiyon si ghaTa hai hawa tez hai
kaun rota hai waqt-e-sahar dil dukha
ek sisakti sada hai hawa tez hai
kya wo aaya ki zanjir hilne lagi
ya mera wahima hai hawa tez hai
is bulandi se guzre to aisa laga
kya khuli si faza hai hawa tez hai
hum kahan ja rahe hain zamin chhoD kar
ye safar kaun sa hai hawa tez hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.