ek diye ki lau kaf-e-sad-aina chamka gai
ik diye kī lau kaf-e-sad-ā.īna chamkā ga.ī
raushnī kī ik kiran mahtāb ko sharmā ga.ī
haath maltā din kisī ummīd par muntaj huā
ḳhastagī baḌhtī huī dīvār-e-shab tak aa ga.ī
ashk-shoī ke liye terī himāyat chāhiye
dekh terī ham-subūī meñ ye naubat aa ga.ī
uzr-ḳhvāhāna nigāheñ harf chuntī rah ga.iiñ
bāz-pursāñ ḳhāmushī apnī kahī manvā ga.ī
kab talak ye ālam-e-dil-bastagī dil-ḳhastagī
dhaḌkanoñ ko ye mashaqqat ho na ho raas aa ga.ī
shab tirī tasvīr kā bosa liyā aur yak-ba-yak
ik namī sī thī ki aks-o-ā.ina dhuñdlā ga.ī
dil kī hālat ko agar ta.abīr kiije ishq se
manziloñ ke pher meñ phir fahm dhokā khā ga.ī
shā.irī sharmā rahī hai aaj us ko dekh kar
zindagī ik ḳhūbsūrat aadmī ko khā ga.ī
ye nahīñ rahne kī jaa.e chashm-e-hairāñ yaañ se chal
darshanī jalvoñ kī bastī meñ nazar chuñdhiyā ga.ī
ek diye ki lau kaf-e-sad-aina chamka gai
raushni ki ek kiran mahtab ko sharma gai
hath malta din kisi ummid par muntaj hua
KHastagi baDhti hui diwar-e-shab tak aa gai
ashk-shoi ke liye teri himayat chahiye
dekh teri ham-subui mein ye naubat aa gai
uzr-KHwahana nigahen harf chunti rah gain
baz-pursan KHamushi apni kahi manwa gai
kab talak ye aalam-e-dil-bastagi dil-KHastagi
dhaDkanon ko ye mashaqqat ho na ho ras aa gai
shab teri taswir ka bosa liya aur yak-ba-yak
ek nami si thi ki aks-o-aina dhundla gai
dil ki haalat ko agar tabir kije ishq se
manzilon ke pher mein phir fahm dhoka kha gai
shairi sharma rahi hai aaj us ko dekh kar
zindagi ek KHubsurat aadmi ko kha gai
ye nahin rahne ki jae chashm-e-hairan yan se chal
darshani jalwon ki basti mein nazar chundhiya gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.