ek do qadam hi sath chale bhi to kya chale
ek do qadam hi sath chale bhi to kya chale
Mohammad Muzammil Khan
MORE BYMohammad Muzammil Khan
ik do qadam hī saath chale bhī to kyā chale
tā-'umr saath do to vafā kā pata chale
vaqt-e-sahar nazar jo paḌī sū-e-razm-gāh
dā'vā vafā kā thā jinheñ ḳheme uThā chale
aisā charāġh jis pe ḳhudā mehrbān ho
kyā bujh sakegā laakh muḳhālif havā chale
thī ik matā’-e-zīst magar un kī bazm meñ
kyā ḳhuub aa.e dekhiye vo bhī luTā chale
maqtal kī aabrū the vahī log shādbāsh
teġh-e-razā-e-yār se jo sar kaTā chale
zulmat-kadoñ meñ dahr ke jab thī na koī aas
tab saath saath mere tire naqsh-e-pā chale
tere ḳhayāl se hai munavvar siyāh shab
varna to raushnī kā kise kyā pata chale
‘bechain’ maiñ huuñ rāh-e-fanā kā vo rāh-rau
tā.īd jis ke qadmoñ kī kartī baqā chale
ek do qadam hi sath chale bhi to kya chale
ta-'umr sath do to wafa ka pata chale
waqt-e-sahar nazar jo paDi su-e-razm-gah
da'wa wafa ka tha jinhen KHeme uTha chale
aisa charagh jis pe KHuda mehrban ho
kya bujh sakega lakh muKHalif hawa chale
thi ek mata’-e-zist magar un ki bazm mein
kya KHub aae dekhiye wo bhi luTa chale
maqtal ki aabru the wahi log shadbash
tegh-e-raza-e-yar se jo sar kaTa chale
zulmat-kadon mein dahr ke jab thi na koi aas
tab sath sath mere tere naqsh-e-pa chale
tere KHayal se hai munawwar siyah shab
warna to raushni ka kise kya pata chale
‘bechain’ main hun rah-e-fana ka wo rah-rau
taid jis ke qadmon ki karti baqa chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.