ik-duje ke basi un ko aur basera kya malum
ik-dūje ke baasī un ko aur baserā kyā ma.alūm
apne-pan ke bāshindoñ ko merā terā kyā ma.alūm
sūraj bole to so jaa.eñ sūraj bole to jāgeñ
kyā jāneñ ye diyā jalānā un ko añdherā kyā ma.alūm
ḳhvāb kā jhuuT jīvan sach meñ til til marnā jin kā bhaag
ye rātoñ ke qaidī un ko sāñjh saverā kyā ma.alūm
bastī se bāhar sāñpoñ ne bhī to kuchh phūñkā hogā
aadhī raah se lauTā ho mehmān saperā kyā ma.alūm
bāñdhī thiiñ āshā.eñ kyā kyā ham ne ab ke mausam se
'rahmānī' ab kaun sī rut meñ phūle bahīrā kyā ma.alūm
ik-duje ke basi un ko aur basera kya malum
apne-pan ke bashindon ko mera tera kya malum
suraj bole to so jaen suraj bole to jagen
kya jaanen ye diya jalana un ko andhera kya malum
KHwab ka jhuT jiwan sach mein til til marna jin ka bhag
ye raaton ke qaidi un ko sanjh sawera kya malum
basti se bahar sanpon ne bhi to kuchh phunka hoga
aadhi rah se lauTa ho mehman sapera kya malum
bandhi thin aashaen kya kya hum ne ab ke mausam se
'rahmani' ab kaun si rut mein phule bahira kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.