ek dusre ka hath bhi pakDe hue hain log
ik dūsre kā haath bhī pakḌe hue haiñ log
phir bhī ye lag rahā hai akele khaḌe haiñ log
duniyā kahāñ kahāñ hai kisī ko ḳhabar nahīñ
ḳhush-fahmiyoñ kī qabr meñ so.e hue haiñ log
us samt jā rahe haiñ jidhar zindagī nahīñ
āñkheñ khulī huī haiñ magar so rahe haiñ log
sūraj zakāt baañT ke vāpas chalā gayā
kashkol haath meñ liye ab bhī khaḌe haiñ log
'nādir' tum apnī pyaas kahāñ le ke aa ga.e
qatre udhār maañg ke dariyā bane haiñ log
ek dusre ka hath bhi pakDe hue hain log
phir bhi ye lag raha hai akele khaDe hain log
duniya kahan kahan hai kisi ko KHabar nahin
KHush-fahmiyon ki qabr mein soe hue hain log
us samt ja rahe hain jidhar zindagi nahin
aankhen khuli hui hain magar so rahe hain log
suraj zakat banT ke wapas chala gaya
kashkol hath mein liye ab bhi khaDe hain log
'nadir' tum apni pyas kahan le ke aa gae
qatre udhaar mang ke dariya bane hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.