ek dusre mein Dub ke hum par ho gae
ik dūsre meñ Duub ke ham paar ho ga.e
is baar yuuñ mile haiñ ki sarshār ho ga.e
vaise shurūa meñ hameñ dushvāriyāñ huiiñ
phir us ke ba.ad ham bhī adākār ho ga.e
is jism ko tavajjoh kā fuqdān le gayā
tum ne chhuā nahīñ hai to mismār ho ga.e
kal kā kise patā magar itnā zarūr hai
ham log zehnī taur pe tayyār ho ga.e
dariyā na dūriyoñ kā kabhī paar ho sakā
kashtī meñ paañv rakhte hī bedār ho ga.e
miTTī ke saath zehn ko bhī kuchh numū milī
bārish huī to thoḌe se ash.ār ho ga.e
ek dusre mein Dub ke hum par ho gae
is bar yun mile hain ki sarshaar ho gae
waise shurua mein hamein dushwariyan huin
phir us ke baad hum bhi adakar ho gae
is jism ko tawajjoh ka fuqdan le gaya
tum ne chhua nahin hai to mismar ho gae
kal ka kise pata magar itna zarur hai
hum log zehni taur pe tayyar ho gae
dariya na duriyon ka kabhi par ho saka
kashti mein panw rakhte hi bedar ho gae
miTTi ke sath zehn ko bhi kuchh numu mili
barish hui to thoDe se ashaar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.