ek etidal azal-ta-abad zaruri hai
ik e'tidāl azal-tā-abad zarūrī hai
har ek shai meñ tavāzun ashad zarūrī hai
agar bigāḌ na aa.e batāoge kyūñkar
har ik qubūl se pahle to rad zarūrī hai
vo zulm-o-jaur ho yā sabr-o-zabt jo bhī ho
miyāñ sabhī ke liye ek had zarūrī hai
guzārishāt pe bhī jab navāzishāt na hoñ
mutālibāt meñ tab shadd-o-mad zarūrī hai
vo sab ki jis kī zarūrat kabhī na samjhī ga.ī
hamāre daur meñ vo sad-ba-sad zarūrī hai
sabhī ke saath munāsib nahīñ hai ek sī baat
azīzo tafraqa-e-nek-o-bad zarūrī hai
jo chāhte ho ki fan par ho dastaras 'rāhī'
nigāh-e-naqd-o-shu.ūr-o-ḳhirad zarūrī hai
ek e'tidal azal-ta-abad zaruri hai
har ek shai mein tawazun ashad zaruri hai
agar bigaD na aae bataoge kyunkar
har ek qubul se pahle to rad zaruri hai
wo zulm-o-jaur ho ya sabr-o-zabt jo bhi ho
miyan sabhi ke liye ek had zaruri hai
guzarishat pe bhi jab nawazishat na hon
mutalibaat mein tab shadd-o-mad zaruri hai
wo sab ki jis ki zarurat kabhi na samjhi gai
hamare daur mein wo sad-ba-sad zaruri hai
sabhi ke sath munasib nahin hai ek si baat
azizo tafraqa-e-nek-o-bad zaruri hai
jo chahte ho ki fan par ho dastaras 'rahi'
nigah-e-naqd-o-shuur-o-KHirad zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.