ek fasana hai KHwab hai duniya
ik fasāna hai ḳhvāb hai duniyā
sar-ba-sar ik sarāb hai duniyā
hādsoñ kā nisāb hai duniyā
zindagī kī kitāb hai duniyā
is ko tashbīh deñ to deñ kis se
ḳhud hī apnā javāb hai duniyā
faisla umr bhar nahīñ hotā
ḳhuub hai yā ḳharāb hai duniyā
hai ye ishrat-kada kisī ke liye
aur kisī ko azaab hai duniyā
chain insān ko nahīñ pal bhar
ālam-e-iztirāb hai duniyā
jis kī hotī nahīñ koī ta.abīr
vo suhānā sā ḳhvāb hai duniyā
is kā jo ġham hai lā-javāb hai 'shāz'
vo ġham-e-be-hisāb hai duniyā
ek fasana hai KHwab hai duniya
sar-ba-sar ek sarab hai duniya
hadson ka nisab hai duniya
zindagi ki kitab hai duniya
is ko tashbih den to den kis se
KHud hi apna jawab hai duniya
faisla umr bhar nahin hota
KHub hai ya KHarab hai duniya
hai ye ishrat-kada kisi ke liye
aur kisi ko azab hai duniya
chain insan ko nahin pal bhar
aalam-e-iztirab hai duniya
jis ki hoti nahin koi tabir
wo suhana sa KHwab hai duniya
is ka jo gham hai la-jawab hai 'shaz'
wo gham-e-be-hisab hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.