ek fasl-e-dard aaTh pahar chun raha hun main
ik fasl-e-dard aaTh pahar chun rahā huuñ maiñ
jo kaT rahe haiñ raah meñ sar chun rahā huuñ maiñ
parvāz ke baġhair to jiinā muhāl hai
sayyād ne jo kaaTe haiñ par chun rahā huuñ maiñ
sāthī the kaise kaise mire jo bichhaḌ ga.e
palkoñ se un kī gard-e-safar chun rahā huuñ maiñ
tā.īd ke liye mujhe anjum kī hai talāsh
ik anjuman ke shams-o-qamar chun rahā huuñ maiñ
kaT bhī chukā vo kab kā jo thā mudda.ī-e-fan
ab purza-hā-e-dast-e-hunar chun rahā huuñ maiñ
kyā dil-ḳharāsh kaam huā hai mire sipurd
ik zard-rut ke barg-o-samar chun rahā huuñ meñ
ek fasl-e-dard aaTh pahar chun raha hun main
jo kaT rahe hain rah mein sar chun raha hun main
parwaz ke baghair to jina muhaal hai
sayyaad ne jo kaTe hain par chun raha hun main
sathi the kaise kaise mere jo bichhaD gae
palkon se un ki gard-e-safar chun raha hun main
taid ke liye mujhe anjum ki hai talash
ek anjuman ke shams-o-qamar chun raha hun main
kaT bhi chuka wo kab ka jo tha muddai-e-fan
ab purza-ha-e-dast-e-hunar chun raha hun main
kya dil-KHarash kaam hua hai mere sipurd
ek zard-rut ke barg-o-samar chun raha hun mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.