ek ghaDi jazba-e-nafrat ke siwa chahti hai
ik ghaḌī jazba-e-nafrat ke sivā chāhtī hai
zindagī tujh se mohabbat kī duā chāhtī hai
kyā karūñ dost to itne bhī nahīñ haiñ mere
roz ye ruuh koī zaḳhm nayā chāhtī hai
kyā ajab taur se kartī hai shikast apnī qubūl
ab ye duniyā koī hañgāma bapā chāhtī hai
jis mohabbat ke laboñ se kabhī jhaḌte the gulāb
ab vahī lahja-e-āshufta-navā chāhtī hai
jaan ko zaḳhm-e-tamannā se ifāqa na huā
phir na.e ishq meñ paimān-e-vafā chāhtī hai
shohrateñ Dhal ga.iiñ ik umr kī mānind so ab
mauj-e-rusvā.ī mire ghar kā patā chāhtī hai
mere hoñToñ kī tamannā bhī ajab hai 'āfāq'
us ke ruḳhsār pe ik phuul khilā chāhtī hai
ek ghaDi jazba-e-nafrat ke siwa chahti hai
zindagi tujh se mohabbat ki dua chahti hai
kya karun dost to itne bhi nahin hain mere
roz ye ruh koi zaKHm naya chahti hai
kya ajab taur se karti hai shikast apni qubul
ab ye duniya koi hangama bapa chahti hai
jis mohabbat ke labon se kabhi jhaDte the gulab
ab wahi lahja-e-ashufta-nawa chahti hai
jaan ko zaKHm-e-tamanna se ifaqa na hua
phir nae ishq mein paiman-e-wafa chahti hai
shohraten Dhal gain ek umr ki manind so ab
mauj-e-ruswai mere ghar ka pata chahti hai
mere honTon ki tamanna bhi ajab hai 'afaq'
us ke ruKHsar pe ek phul khila chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.