ek hath pe aankhen rakkhi hain ek hath pe chehra hota hai
ik haath pe āñkheñ rakkhī haiñ ik haath pe chehrā hotā hai
har gaam madārī baiThe haiñ har vaqt tamāshā hotā hai
ab kaun yahāñ majzūb nahīñ bāzār meñ kyā maujūd nahīñ
irfān kī maalā biktī hai ilhām kā saudā hotā hai
apnī ḳhalvat meñ dhyān kahāñ ḳhāmoshī hai vijdān kahāñ
ik āñdhī ḳhaak uḌātī hai ik aag kā dariyā hotā hai
dil bahr samān āñkheñ raushan par rāhguzar bhī to dekho
ik tañg-nazar kī badlī ne andher machāyā hotā hai
kal jhuum ke bolī keñchuli-e-ilhād aqīde ke man se
ai riñd tujhe do mūñhoñ ne kyā jaam pilāyā hotā hai
har but ke aage sajde par zindīqī ko majbūr na kar
ye jehl-e-marātib āḳhir kis kāfir ko gavārā hotā hai
ham log pashemāñ fitrat haiñ dīvānoñ kī kab sunte haiñ
āñkhoñ vaale paḌh sakte haiñ dīvār pe likkhā hotā hai
ek hath pe aankhen rakkhi hain ek hath pe chehra hota hai
har gam madari baiThe hain har waqt tamasha hota hai
ab kaun yahan majzub nahin bazar mein kya maujud nahin
irfan ki mala bikti hai ilham ka sauda hota hai
apni KHalwat mein dhyan kahan KHamoshi hai wijdan kahan
ek aandhi KHak uDati hai ek aag ka dariya hota hai
dil bahr saman aankhen raushan par rahguzar bhi to dekho
ek tang-nazar ki badli ne andher machaya hota hai
kal jhum ke boli kenchuli-e-ilhad aqide ke man se
ai rind tujhe do munhon ne kya jam pilaya hota hai
har but ke aage sajde par zindiqi ko majbur na kar
ye jehl-e-maraatib aaKHir kis kafir ko gawara hota hai
hum log pasheman fitrat hain diwanon ki kab sunte hain
aankhon wale paDh sakte hain diwar pe likkha hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.