ek hum hain gila karne ki himmat nahin karte
ik ham haiñ gilā karne kī himmat nahīñ karte
ik tum ho ki ḳhvāboñ ko haqīqat nahīñ karte
jaao to magar aks koī chhoḌ na jaanā
ab aa.ine aksoñ kī hifāzat nahīñ karte
ab chāñd kā armāñ bhī sar-e-shām nahīñ hai
āñkhoñ ke jharoke bhī shikāyat nahīñ karte
ham dhuup se narmī kī umīdeñ hī rakhe jaa.eñ
har-chand ki saa.e bhī muravvat nahīñ karte
rahrav haiñ har ik peḌ se mil lete haiñ 'fāḳhir'
saaya nahīñ miltā to shikāyat nahīñ karte
ek hum hain gila karne ki himmat nahin karte
ek tum ho ki KHwabon ko haqiqat nahin karte
jao to magar aks koi chhoD na jaana
ab aaine akson ki hifazat nahin karte
ab chand ka arman bhi sar-e-sham nahin hai
aankhon ke jharoke bhi shikayat nahin karte
hum dhup se narmi ki umiden hi rakhe jaen
har-chand ki sae bhi murawwat nahin karte
rahraw hain har ek peD se mil lete hain 'faKHir'
saya nahin milta to shikayat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.