ek hansi ruKH par saja lete hain hum
ik hañsī ruḳh par sajā lete haiñ ham
dard ka puurā maza lete haiñ ham
jab sañbhalne ka hameñ ḳhatrā dikhe
ehtiyātan laḌkhaḌā lete haiñ ham
ventilator par paḌe be-jān se
kitnī ummīdeñ lagā lete haiñ ham
haa.e un nāzuk laboñ ka pūchhnā
ik ġhazal likhne ka kyā lete haiñ ham
tū hameñ kuchh saal pahle dekhtā
āj-kal to muskurā lete haiñ ham
dil na jaane kab mayassar ho hameñ
kaam duniyā se chalā lete haiñ ham
ek hansi ruKH par saja lete hain hum
dard ka pura maza lete hain hum
jab sanbhalne ka hamein KHatra dikhe
ehtiyatan laDkhaDa lete hain hum
wentilator par paDe be-jaan se
kitni ummiden laga lete hain hum
hae un nazuk labon ka puchhna
ek ghazal likhne ka kya lete hain hum
tu hamein kuchh sal pahle dekhta
aaj-kal to muskura lete hain hum
dil na jaane kab mayassar ho hamein
kaam duniya se chala lete hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.