ek haqiqat hun agar izhaar ho jaunga main
ik haqīqat huuñ agar iz.hār ho jā.ūñgā maiñ
jaane kis kis jurm kā iqrār ho jā.ūñgā maiñ
kaaT lo ab ke mujhe bhī ḳhvāhishoñ kī fasl par
zindagī ik ḳhvāb hai bedār ho jā.ūñgā maiñ
rafta rafta baaġh kī sab titliyāñ kho jā.eñgī
aur ik din ḳhud se bhī bezār ho jā.ūñgā maiñ
yā to ik din toḌ Dālūñgā hisār-e-āgahī
yā kisī qisse kā ik kirdār ho jā.ūñgā maiñ
aks-andar-aks aatā hai nazar mujh ko 'kamāl'
kyā kisī din aa.ine ke paar ho jā.ūñgā maiñ
ek haqiqat hun agar izhaar ho jaunga main
jaane kis kis jurm ka iqrar ho jaunga main
kaT lo ab ke mujhe bhi KHwahishon ki fasl par
zindagi ek KHwab hai bedar ho jaunga main
rafta rafta bagh ki sab titliyan kho jaengi
aur ek din KHud se bhi bezar ho jaunga main
ya to ek din toD Dalunga hisar-e-agahi
ya kisi qisse ka ek kirdar ho jaunga main
aks-andar-aks aata hai nazar mujh ko 'kamal'
kya kisi din aaine ke par ho jaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.