ek haqiqat ki jhalak yun to har andaz mein hai
ek haqiqat ki jhalak yun to har andaz mein hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
ik haqīqat kī jhalak yuuñ to har andāz meñ hai
phir haqīqat jise kahte haiñ abhī raaz meñ hai
sāz-bāz ahl-e-nazar jalva-gah-e-nāz meñ hai
ik ishāra hai jo chashm-e-ġhalat-andāz meñ hai
rāzdārī ġham-e-ulfat kī musībat hai use
ik mirī aag kā sho.ala dil-e-hamrāz meñ hai
duur hai duur abhī hāsil-e-duniyā-e-hayāt
fikr-e-anjām tujhe manzil-e-āġhāz meñ hai
chashm-e-pur-fan bhī dil-ārā hai lab-e-nāzuk bhī
sehr meñ bhī hai vahī baat jo e.ajāz meñ hai
jis ne jī bhar ke tajallī ko kabhī dekhā ho
koī aisā bhī tirī jalva-gah-e-nāz meñ hai
daulat-e-sabr-o-tavakkul meñ hai e.azāz-e-bashar
kuchh na daulat hī meñ rakkhā hai na e.azāz meñ hai
dil hilā dene kā andāz gayā ai 'ḳhushtar'
dard pahlā sā kahāñ ab tirī āvāz meñ hai
ek haqiqat ki jhalak yun to har andaz mein hai
phir haqiqat jise kahte hain abhi raaz mein hai
saz-baz ahl-e-nazar jalwa-gah-e-naz mein hai
ek ishaara hai jo chashm-e-ghalat-andaz mein hai
raazdari gham-e-ulfat ki musibat hai use
ek meri aag ka shoala dil-e-hamraaz mein hai
dur hai dur abhi hasil-e-duniya-e-hayat
fikr-e-anjam tujhe manzil-e-aghaz mein hai
chashm-e-pur-fan bhi dil-ara hai lab-e-nazuk bhi
sehr mein bhi hai wahi baat jo eajaz mein hai
jis ne ji bhar ke tajalli ko kabhi dekha ho
koi aisa bhi teri jalwa-gah-e-naz mein hai
daulat-e-sabr-o-tawakkul mein hai eazaz-e-bashar
kuchh na daulat hi mein rakkha hai na eazaz mein hai
dil hila dene ka andaz gaya ai 'KHushtar'
dard pahla sa kahan ab teri aawaz mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.