ek hara jazira bhi paniyon se aage hai
ik harā jazīra bhī pāniyoñ se aage hai
us kī diid kī sā'at rat-jagoñ se aage hai
kaun se manāzir meñ us ko DhūñDne nikleñ
vo gumān se haT kar hairatoñ se aage hai
bādbān kī āñkheñ ḳhvāb kaun sā dekheñ
kaun ik kinārā sā sāhiloñ se aage hai
aks jhilmilāte haiñ ek sabz qarye ke
jo jale daraḳhtoñ ke jañgaloñ se aage hai
naam kyā likheñ us kā sab hurūf us ke haiñ
kyā use tarāsheñ vo ḳhvāhishoñ se aage hai
kaun sī ḳhalāoñ meñ kis ufuq ko jaate ho
jo qadam uThāte ho manziloñ se aage hai
ek hara jazira bhi paniyon se aage hai
us ki did ki sa'at rat-jagon se aage hai
kaun se manazir mein us ko DhunDne niklen
wo guman se haT kar hairaton se aage hai
baadban ki aankhen KHwab kaun sa dekhen
kaun ek kinara sa sahilon se aage hai
aks jhilmilate hain ek sabz qarye ke
jo jale daraKHton ke jangalon se aage hai
nam kya likhen us ka sab huruf us ke hain
kya use tarashen wo KHwahishon se aage hai
kaun si KHalaon mein kis ufuq ko jate ho
jo qadam uThate ho manzilon se aage hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 240)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.