ek harf-e-arzu pe KHata-kar hum hue
ik harf-e-ārzū pe ḳhatā-kār ham hue
itnī sī baat thī ki gunahgār ham hue
ik din kisī ke ḳhvāb meñ so.e tamām raat
ik din kisī kī aañkh se bedār ham hue
pahle to nā-samajh the zamāne kī aañkh meñ
phir hote hote kitne samajhdār ham hue
is daur-e-be-hunar meñ hameñ kaun pūchhtā
vo to kaho ki apne ḳharīdār ham hue
pahle-pahal to aql se uktā.e kuchh bahut
phir yuuñ huā ki dil se bhī bezār ham hue
muddat ke baad ḳhud se mohabbat huī hameñ
muddat ke baad apne talabgār ham hue
tere liye kisī ke muḳhālif rahe the ham
tere liye kisī ke taraf-dār ham hue
chāhat kī dāstāñ bhī rahī ham se munsalik
dil kī kahāniyoñ ke bhī kirdār ham hue
honā to chāhte the bahar-taur aap sā
aap aise bad-lihāz kahāñ yaar ham hue
pal pal badalte Thor Thikānoñ ke shauq meñ
is paar ham hue kabhī us paar ham hue
badle haiñ mausamoñ kī tarah ham bhī ai 'rafī.a'
iqrār ham hue kabhī inkār ham hue
ek harf-e-arzu pe KHata-kar hum hue
itni si baat thi ki gunahgar hum hue
ek din kisi ke KHwab mein soe tamam raat
ek din kisi ki aankh se bedar hum hue
pahle to na-samajh the zamane ki aankh mein
phir hote hote kitne samajhdar hum hue
is daur-e-be-hunar mein hamein kaun puchhta
wo to kaho ki apne KHaridar hum hue
pahle-pahal to aql se uktae kuchh bahut
phir yun hua ki dil se bhi bezar hum hue
muddat ke baad KHud se mohabbat hui hamein
muddat ke baad apne talabgar hum hue
tere liye kisi ke muKHalif rahe the hum
tere liye kisi ke taraf-dar hum hue
chahat ki dastan bhi rahi hum se munsalik
dil ki kahaniyon ke bhi kirdar hum hue
hona to chahte the bahar-taur aap sa
aap aise bad-lihaz kahan yar hum hue
pal pal badalte Thor Thikanon ke shauq mein
is par hum hue kabhi us par hum hue
badle hain mausamon ki tarah hum bhi ai 'rafia'
iqrar hum hue kabhi inkar hum hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.