ek harf-e-kun mein jis ne kaun-o-makan banaya
ek harf-e-kun mein jis ne kaun-o-makan banaya
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
ik harf-e-kun meñ jis ne kaun-o-makāñ banāyā
saare jahāñ kā tujh ko ārām-e-jāñ banāyā
bū-e-mohabbat apnī rakkhī ḳhudā ne is meñ
siine meñ aadmī ke dil itr-dāñ banāyā
apnī to is chaman meñ nit umr yūñhī guzrī
yaañ āshiyāñ banāyā vaañ āshiyāñ banāyā
mehnat pe Tuk nazar kar sūratgar-e-azal ne
chālīs din meñ terā mīm-e-dahāñ banāyā
az-bas-ki is safar meñ manzil ko ham na pahuñche
āvārgī ne ham ko reg-e-ravāñ banāyā
maġhrūr kyuuñ na hove san.at par apnī saan.e
kis vāste jab us ne ye gulistāñ banāyā
ḳhūn-e-jigar se mere gul kī shabīh khīñchī
naale ko mere le kar sarv-e-ravāñ banāyā
aatā hai 'mus.hafī' tū ye kis ke zaḳhm khaa.e
tīr-e-jafā kā kis ne tujh ko nishāñ banāyā
sau TukḌe hai garebāñ dāman lahū meñ tar hai
ye rañg tū ne zālim apnā kahāñ banāyā
ek harf-e-kun mein jis ne kaun-o-makan banaya
sare jahan ka tujh ko aaram-e-jaan banaya
bu-e-mohabbat apni rakkhi KHuda ne is mein
sine mein aadmi ke dil itr-dan banaya
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yan aashiyan banaya wan aashiyan banaya
mehnat pe Tuk nazar kar suratgar-e-azal ne
chaalis din mein tera mim-e-dahan banaya
az-bas-ki is safar mein manzil ko hum na pahunche
aawargi ne hum ko reg-e-rawan banaya
maghrur kyun na howe sanat par apni sane
kis waste jab us ne ye gulistan banaya
KHun-e-jigar se mere gul ki shabih khinchi
nale ko mere le kar sarw-e-rawan banaya
aata hai 'mushafi' tu ye kis ke zaKHm khae
tir-e-jafa ka kis ne tujh ko nishan banaya
sau TukDe hai gareban daman lahu mein tar hai
ye rang tu ne zalim apna kahan banaya
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.